Blog Ki Traffic Kaise Badhaye
#Blog Design
Web developers kehate hai blog par traffic badhane ke liye blog site ka design major role play karta hai.
Blogger ek free platfor hai isiliye blogger par new blog create karne ke bad domain name and design ko select karne ke liye thoda research karne ki jarurat hai. Website ki design attractive hone par visitor ke return ane ke chances badhate hai.
Aap new blogger hai to aap ko basic se start karna chahiye. Blog ko design karne se pehle ek bat ka hamesha dhyan rakhe blog ka design simple hona chahiye, attractive hona chahiye. Agar aap blog par jyada heavy design karenge to blog ka loading time badh jayega jisase visitor decrease hone ke jyada chance hai. Blog ko design karne se pahale high pr sites yane search engine ke first page par ane wali websites ka design layout check karake aap idea le sakte hai.
Agar aap blogger platform ko use karte hai to Blog ke liye seo friendly template choose kare. Template ka layout clean aur visitors ko simple tarike se navigation mile aisa hona chahiye. Website par traffic ka direct connection hai isiliye design par jyada focus karna hoga. Visitor attractive sites aur google visualization wali site par jyada time spend karte hai. Blogger ya website par clean and good layout ka design karne se blog ki traffic badhegi.
#Choose Fast Loading Template
Visitors chahate hai ki jis blog par wo visit kare wo jaldi open hona chahiye. Visitor jis query ke bareme information chahate hai us query se related millions of website internet par already available hai agar aap ki site fast load nahi hoti hai to visitor ke pass bahot sare options hai. Visitor aapki site ko load hone ka intezar karne ke chances kam hote hai. Intejar karna kisi ko accha nahi lagata hai isiliye visitor dusare website blog par visit karate hai.
Ek bar visitor jab website par visit karte hai aur website load hone me jyada time leta hai to visitor dusare site par visit karte hai aur same visitor aap ki site par return visit nahi karenge. “First Impression Is Last Impression” thik isi quote ko hame blogging me apply karna hoga.
Blog ka template choose karne se pahle dusari website par visit karke template ke bareme ideal lena chahiye. Basically visitor light color acche lagte hai jisse aakhon ko taklif nahi hoti. Possible ho to light color hi use kare. Internet template se related bahut sari website hai jiname se aap template download kar sakte hai.
Template free aur paid version me milate hai. Template me seo ready, user friendly, image friendly jaise bahut sare typs hai. Agar aap new blogger hai to aap free template use kar sakte hai. Template websites content ke nusar milate hai. Theme select karne ke liye aap khud ek visitor hai aur aap ko kis website ka theme accha lagta hai ye sochar ki select kare.
Template ka loading speed template mi use hone wali default image size, java scripts, css in sab par depend karta hai. Template jitana simple clean hoga utanahi uska loading speed accha hoga.
#Write Quality Content
Blog par High Quality Post Content Kaise Likhe ? Blog ko populor banane ke liye aur visitors ko attract karne ke lye sabse important hai quality post. Blogging me competition badh raha hai ye to hum sab jante hai. Blog post ko seo friendly karne ke sath sath hume blog post ke content par bhi focus karna hoga. Blog post ka content jitana high quality wala hoga utna hi acha search rank aapko milega.
New bloggers aksar puchte hai Blog Post Kaise Likhe ? newbies ko batana chahunga aap jis subject par article likha rahe hai us se related har details ko apne post me write kare. Blog post likhna bahut hi easy hai bas apko search engine optimization ki jankari hona chahiye.
Blog post minimum 1000 words ki honi chahiye. Most popular keywords ko apne post me use kare.On page - off page seo optimization se post ko optimize kare aisa karne se post ko search engine result page par high rank milega aur organic traffic milega.
Seo friendly aur unique content wali post likh kar blog ki traffic badha sakte hai. Blog ki traffic kaise badhaye is problem ke liye ye sabse important solution hai Unique blog post likhe.
#Keyword Research
Keyword Research Kaise Kare. Blog post likhne se pahale Keyword research kaise karte hai ye janana jaruri hai. Keyword research karne ke liye internet par kai softwares aur website available hai jisme aap free or paid service use karke keyword research kar sakte hai.
Web Developers, Professional bloggers Keyword Research karne ke liye Google Adword keyword planner tool ko use karte hai. Google keyword planner tool keyword research karne ke liye sabse best mana jata hai. Google keyword planner ek free service hai ise advertisers ke liye google ne develop kiya hai. Is service ko hum free me use kar sakte hai.
Google keyword planner me keyword ka cpc, monthly searches etc ke bareme jankari milti hai jisse hame subject se related popular, high cps, high search rank wale keywords ko select karne me help hoti hai. Google keyword planner kaise use kare is article me humane Adword Keyword Planner Tool Me keyword research kaise karte hai iske bare me jana tha.
#Use Keywords
Blog me visitors badhane ke liye blog post me keywords ko use karna jaruri hai. Keywords ke bareme hum step by step janenge. Keyword ek popular or most searchable word hota hai jisse search engine ko aapki post ka subject kya hai ye pata chalta hai.
Seo kya hai ? is post me humane search engine ke kam karne ka tarika dekha tha. Search engine jab hamari post ko crawl karta hai to use kai part me sort kiya jata hai. Jisame post ka heading, keyword par par jyada focus kiya jata hai. Aapke article me aap subject se related jo keyword use karate hai use search crawler index karte time heigh light karta hai.
Jab bhi koi user search engine me kisi query ke bareme search karte hai to apne jo main keyword use kiya hai usse related long tail keywords jis post me use ki gai hai use search result page par show karta hai.
Example :- Blog Ki Traffic Kaise Badhaye ? is sentence me Traffic Badhaye ye mera focus keyword hai. Focus keyword me dusare keywords ko use karke jo sentence tayar honge use long tail keyword kehte hai.
Main Keyword = Traffic Badhaye
Longtail keyword = Blog ki traffic kaise badhaye, website ki traffic kaise badhaye, apne blog par traffic kaise badhaye, hindi website par traffic kaise badhaye.
Ye hai long tail keywords jine focus keywords ko use karke banaya gaya hai. Longtail keyword article me use karne ke bad jab bhi koi visitor search engine me in main keyword ya fir long tail keywords ko search karenge to search result page par HTG ke result show honge. Keywords ko use karne se 100% blog ki traffic badhegi.
#Write SEO Friendly Article
Bloggine me traffic ke bina success nahi mil sakta. Search engine me high rank milane ke liye SEO par mehnat karni hogi. Search engine friendly article likhne se search engine result page par high search rank milta hai.
Kisi bhi subject par content writing karne se pahle aap jis subject ke bareme article likha rahe hai us subject ke monthly search kitane hai ye janana jaruri hai. Monthly search janane ke liye Google Trends ko use kiya jata hai. Monthly search check karne par subject se related queries ke bareme search kar le.
Content ke bareme research karne liye ek bat ka dhyan rakhe ki aap khud ek visitor hai aur subject se related kya kya quries hai is par focus kare. Article likhne ke liye basic > images > videos > Outbound links > Internal links is type me article ka layout hona chahiye.
Seo friendly article kaise likhe ye janane ke liye newbies kya kuch nahi karte hai. search engine kaise kam karta hai ye janane ke bad hi aap search optimization kaise karte hai ise behtar tarike se samajh paoge.
Google jab kisi query ke bareme result show karta hai to google ek hi rule ko follow karta hai ki jis query ke bareme search kiya hai usase related information provide karnewali sites ko show karna yane Visitors ko ache se achchi service provide karna. Aap bhi sibi bat ko follow kar aur visitor ko quality content provide kare. Friends Blog ki traffic kaise badhaye ye janane ke liye smart work karna hai.
#Keyword Density
Keyword ki density maintain karna
on page seo ka part hai.
Keyword density kya hai ? Keyword density kitni honi chahiye uske bareme humane
On Page Optimization Kaise Kare ? is article me dekha tha. Basically keyword density 1.5 to 2.0 % me honi chahiye. Keyword density ko maintain karna bahut important hai. Keyword density 2.5% tak use kar sakte hai. Same keyword jyada bar repeat karne se google apki post ko spam samaj sakta hai. Isiliye search result page par ranking karne me keyword density ka major role hai.
#Internal Linking
Friends Apne blog ki traffic badhane ke liye internal linking karna chahiye. Internal linking kya hai ? internal linking kaise kare ? is article me internal linking ke bareme step by step jankari di hai.
Post me internal linking karne se post ko link juice milata hai. Search engine me top rank karne ke liye internal link bahot help karti hai. Internal linking ke isake alawa bhi bahot sare fayade hai. Internal linking karne se Bounce Rate kam hota hai. Generally bounce rate 60% se kam hona chahiye.
Aaj ka article traffic se related hai agar mujhe isame seo se related jankari dena hai to mai seo se related post ko internal linking karunga. aise karne se article jyada bada nahi hoga visitors subject se related dusari post ke links same page par milenge. Jisse subject se related post easily visitors read kar sakenge.
#Use Eye-Catching Images
Blog post me images use karna chahiye ye to sabhi jante hai. 1000 words ko describe karne ke liye 1 image kafi hai. Is bat se aap article me image ka importance samajh sakte hai. Image use karne ke kuch ruls hai sabse pehle aur important hai Copy right images use nahi karni chahiye. Agar aap photoshop ka knowledge rakhte hai to aap khud hi image create kar sakte hai. Image search karne ki jankari lene ke liye Blog Post Ke Liye Image Research Kaise Kare ? ya article dekhe.
Article me image use karne ke liye copy right image use na kare, image subject se related honi chahiye, image jyada high resolution wali naho is bat ka dhyan rakhe. High resolution image use karane se website blog ki loading speed kam ho jati hai. Images se related ye sari bate image optimization me ati hai. Image ko blog post me use karne ke liye search engine ke according tayar karne ko Image Optimization kehate hai. Image Optimization ke bareme janane ke liye Image Optimization Kaise Kare ? ye article dekhe.
Image Optimization karne se image search engine friendly ho jati hai. Jab bhi ham article ko pinterest, instagram par search karenge to images ko accha rank milega jisase social media se bhi accha traffic milega.
#Meta Description
Post ke liye description likhna chahiye. Blogger ho ya wordpress har blog platform par meta description available hota hai. Agar aap professional bloggers ke website ko dekhao ge to aap ko meta description jarur milega. Meta description ko search engine sabse pahle check karte hai. Meta description me post ko describe kiya jata hai. Post kis subject se related hai, post me kya hai is type ki information meta description me hoti hai. Jisase google ya fir kisi bhi search engine ke robots ko post - article ko sort karne me aur index karne me help hoti hai.
Search engine me internet user jab bhi kisi topic ke bareme search karte hai to search engine ke result page par website ke post ke link ke niche post ka description show hota hai. Agar aapne thik se dekha ho to post seo friendly hone ke sath sath post me meta description hone par search engine top rank deta hai. Meta description wali websites ya blog ko google first priority deta hai.
#Creat Backlinks
Blog post ko search engine me rank karne ke liye backlinks bahot helpful hai. hamare site ka url dusari site par hota hai jis par click karne se visitor direct hamari site par divert hote hai ise kehate hai backlinks
#Use Social Media
Blog website par traffic badhane ke liye bahot sare options available hai. Social media ka use aaj kal har koi karta hai. Hum bhi social media ka use karke hum hamari website, blog par traffic badha sakte hai. Google +, Facebook, Twitter, Pinterest etc par hum website blog ko promote kar sakte hai. Social media par Blog ko promote karne se acche followers milenge jisse traffic badhane me help hogi.
#Use Social Share Buttons
Social sites Facebook, Twitter, Google + ko har koi use karta hai. Isiliye hame apne blog par social share button use karna chahiye. Visitor jab apki post ko read karta hai aur unhe post helpful lagati hai to wo apne friends ke sath post ko share kar sakte hai.
Social site par agar hum kuch share karte hai to aape dekha hoga Us post ko like, share jarur milate hai isaka matlab hai ki social media se bhi hum backlink bana sakte hai Accha traffic bana sakte hai. Social media par post viral ho ne ke bahau sare fayde hai jiske bare me humne already bat ki hai. Apne Hindi Blog ki traffic kaise badhaye, Organic Traffic milane ke liye social share buttons ko use karna chahiye.
Friends aaj humane
Blog Ki Traffic Kaise Badhaye ke bareme jana hai. Is article ko follow karke aap bhi apne hindi blog par traffic badha sakte hai. Ye article apke liye helpful ho to ise apni website, blog, social media par share kare.
Hindi Techno Guide ke articles ko apne email par receive karne ke liye hume
subscribe kare.