GuidePedia

2
Aaj hum janenge Bounce Rate Kya Hai (What Is Bounce Rate in Hindi),  Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare ? Bounce Rate SEO ka important factor hai. Seo friendly Blog - Website banane ke liye Bounce rate kya hai aur kaise apane blog ka Bounce Rate kam kare ye janana har blogger ke liye jaruri hai. New bloggers bounce rate par dhyan nahi dete jisaka bad impact search reuslt page par padta hai. Bounce rate ke is article me hum step by step sikhenge Bounce Rate Kya Hai - Bounce Rate Kaise Check Kare ? Good and Bad Bounce Rate Kitni Hoti Hai or Kitni Honi Chahiye ? Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare ?
Bounce Rate Kya Hai - Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare ?
Bounce Rate Kya Hai - Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare ?

Bounce Rate Kya Hai ?

Is article ka hamara pahala question hai Bounce Rate Kya Hota Hai ?  Bounce rate single-page sessions ka percentage hota hai. Visiter jab aapki site par visit karte hai aur aapki site par kitne time tak spend karte hai, kitne pages open karte hai in sab ka ek average percentage  ko Bounce Rate Kehate hai. 

Good and Bad Bounce Rate Kitni Hoti Hai or Kitni Honi Chahiye

Example - Blog, Website par har roj 2 typs ke visitors ate hai. First type ke Visitor sirf ek hi article dekhate hai aur site close karte hai ya fir dusari site par diver hote hai. Second type ke visitors ek article dekhane ke bad dusare article bhi dekhate hai aur article me hum jo internal linking karte hai use visit karte hai. Dosto First type ke visitor Blog website par minimum time spend karte hai. Isi time ko Bounce Rate Kaha Jata hai. Visitor apaki site par averegely jitana time spend karte hai usi time ko kehate hai Bounce Rate.

Website Me Bounce ka Kya Matlab Hota Hai ?

Apaki website ka Bounce Rate agar kam hai to bahot acchi bat hai. Isaka matlab hai apki site ke content ko visitors read karte hai aur jyada se jyada time apaki site par thaharte hai. Aapki site par bounce rate agar bahot jyada hai to iska matlab hai ki visitors aapki site ke content ko read nahi karte, apke site par jyada time spend nahi karte hai. Agar easily kaha jay to apki site ko pasand nahi karte. Website ka bounce rate jitana kam hota hai utana hi accha hota hai.

Bounce Rate Kaise Check Kare

Bounce rate kya hota hai ye humane dekha ab hum janenge bounce rate kaise pata karte hai. Agar aap apani website, blog ke liye alexa use karte hai to aap alexa.com par jakar apani webiste blog ka Bounce Rate check kar sakte hai. Alexa par last 3 month ki bounce rate check kar sakte hai. But agar aap new bloggers hai to apako daily or post wise apki site ka bounce rate karna chahiye. Daily bounce rate check karne ke liye Google Analytics use karte hai. Google analytics par daily bounce rate, Per post bounce rate, visitor timing, location etc check kar sakte hai.
Google analytics par blog ka bounce rate check karne ke lilye google analytics pr log in karna hoga aur reporting > all traffic me jakar aap bounce rate check kr sakte hai.

Note - Blog ya website ka bounce rate jitama kam rahega utanahi accha hota hai. Isiliye apki site ka bounce rate kam karne ki koshish karte rahe.

Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare ?

Website par bounce rate karne ke liye koi trick nahi hai. SEO ke kuch rules ko follow karke aap apani website blog ka bounce rate kam kar skate hai.
Post ka title effective hona chahiye boaring title par visitor bahot kam ate hai.
 Website ka content ko targeted visitors ke liye focus karna chahiye. Jaise ki apki website ka nich health hai to apko health releated subject par article likhana chahiye. Jab bhi koi doctor ya fir health se releated koi visitor apki site par visit karega to jyada time spend karega. But koi engineer agar apki site par visit karega to jyada time tak reading nahi karega.
 Content quality par dhyan dena chahiye. Aap jis subject par article likh rahe hai us subject se jankari visitors ke liye helpful aur samazane me easy honi chahiye.
 Blog post me subject se releated post ke Internal Links add karne. visitor article padhane ke bad dusare article ke link par click karke visit karte hai.
 Blog post me subject se releated images ko use karna chahiye. image clear aur samazane me asan honi chahiye. eye catchin images ko select kare.
 Blog ka loading time bhi bounce rate par effect karta hai. Blog ka loading time jitana kam hoga utahi accha hota hai. Visitor ko agar apki post pasand nahi ane par visitor internal linking ki help se dusare post par visit karte hai aise me website, blog agar jaldi open nahi hoga visitor jyada time wait nahi karte.
Bounce rate kam karane me blog post ka role important hota hai. Visitor jab apki site par visit karte hai to website blog ka theme, Title, Images par  focus karte hai. Visitor jab search engine par kisi query ke bareme search karta hai aur search result me apki site par click karke visit karata hai. 
Example : Muze Bounce Rate Kya Hai ? (What Is Bounce Rate in Hindi),  Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare ? in question ke bareme detail information chahiye to maine google search engine par is question ke bareme search kiya to Hindi Techno Guide ke site par visit kiya to meri basic demand ye hai ki  Bounce Rate Kya Hota Hai ? Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare ? in question ke bareme step by step jankari chahata hu. Agar HTG ke article me muze jo information chahiye wo nahi milati hai to mai is article ke first paragraph read karne ke bad turant site ko close karke dusari site par visit karunga. But agar muze mere sare question ke answer mil jayenge to mai HTG ke dusare article bhi padhunga. 
Dosto blogging me content ko king kaha jata hai. Blog ka ya fir blog post ka search engine optimization karna ho, images optimization, search engine me ranking or oll over blogging me success hone ke liye content par jyada focus karna hai. New bloggers sirf post publish karte hai. Blog post publish karne hi kafi nahi hai. Bloggers ko malum hona chahiye SEO Friendly Blog post kaise likhe. Dosto blogging competation badhta ja raha hai isiliye blogging me success hone ke liye SEO Kya Hai ? SEO Kaise Karte Hai ? ke bareme janana jaruri hai. Professional bloggers  Unique Content wali Seo Friendly Blog Post likhate hai. Post me seo friendly keywords ka use karte hai. Post releated imges ko SEO Friendly Images banate hai, Post me internal linking karte hai. On Page SEO, Off Page SEO Optimization karte hai tab jakar ek Unique Content ke sath SEO Friendly Blog Post tayari hoti hai or bounce rate kam rehata hai.
Dosto bounce rate se releated is post me humane dekha Bounce Rate Kya Hai - Bounce Rate Check Kaise Kare ? Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare. Ummid hai ye article apake liye helpful ho. Is article se releated koi question ho to comment kar. Hindi Techno Guide me publish honewale articles ko apne email par receive karne ke liye hume subscribe kare.

Post a Comment

 
Top