GuidePedia

5
Image Optimization Kaise Kare or Image Optimizing Karne Ki 6 SEO Tips. Blog ki traffic increasing karane ke liye hum  SEO tips and tricks follow karte hai. In seo tricks me image optimization powerful tarika hai. Professionals janate hai Image Optimizing kaise kare kis tarike se kare. Aaj hum image optimize karane ke 6 Effective Tips sikhenge. In tips ko use karke apni website blog ki images ko SEO friendly bana sakate hai. Ek image aapke thousand words ki meaning ko describe kar sakti hai. Isliye Webpage me images ka use jarur karna chahiye. Kya aapk janate hai photos ka use post me kaise kiya jata hai ? Kya aapko Pata hai Image SEO friendly Kaise Banate Hai ? 
image optimization tips
Image Optimization Kaise Kare Image
Images ko SEO friendly banane ke liye Image Optimization karna jaruri hai. Aaj hum dekhenge apni post me image ka use kaise karna chahiye, kis tarah se image ko SEO friendly banaya jaye, kis tarah se images ko search engine asani se (easily) samajh sake, kis tarah optimize kiya jaye. Web page / Article ko attractive banane ke liye images add karna jaruri hota hai. Images ko SEO friendly banane ke liye IMage Optimization karna bahot jaruri hai. Without image optimization kiye bina blog post me image upload karne yane SEO ko avoid karana hai.
Image optimization aapko image optimize karne ke bahot sare advantages tarike provide karta hai jinaka use karake  aapki site par user experience or SEO dono better ho jayenge.  Properly image ko optimize kiya hai to search results me image show hogi aur site par traffic milega aur agar image ko optimization nahi kiya hai to show nahi karegi aur website, blog par traffic bhi nahi milega. aap soch rahe honge kaise main apni pictures ko SEO friendly banaye ?  To chaliye dosto dekhate hai image optimization kaise karte hai.

Image Optimize Kaise Kare – Image ptimization Karne Ki 6 SEO Tips

1. Post Subject Se Related Images Use Kare

Aap jis subject par post likha rahe ho usi se releated images ka use karana chahiye.  Home, House se releated article me agar hum railwaystation ka images use karenge to visitor confuse ho jayenge. Isaka matlab aap visitors ko missguide kar rahe hai. Isiliye agar aap hose se releated images use karenge ho visitor turant samaz jayegne ki apaki post article home, house se releated hai.
Post subject se releated images ka hi use karana chahiye. Post hum extra keywords, sentences use karate hai. Is sentences ke liye images ka use nahi karana chahiye. Sentences samazane me mushkil ho to aap images ka use kar sakate hai. Article ke liye images creat karake use karane se apaki website, blog ko self identity milati hai jisase professional look milata hai. Isiliye possible hot o khud hi images creat kare.

2. Images Me Alt Tag Attribute Use Kare

Add Alt Meta Tag : SEO ke liye image me alt tag use karana accha hota hai. Bahot se bloggers question karate hai ki images ka name use karane par alt tag ki kyu jaruri hai ? Dosto Internet speed kam hone se ya phir high quality images use karane se image load nahi hoti aur image ki jagaha par alt tag show hota hai. Jisase users ko image ke bareme information milati hai. 
Google Search robots ya phir koi bhi search robot sirf text ko read karata hai Isaka matlab hua ki robots image, video, photo ko rocognize nahi kar pata. To ab sawal ye hai ki search robots images ko kaise samzate hai ? Isaka jawab hai Images me hum jo alt tag use karate hai use read karake wo samajate hai ki images kis subject se releated hai. Isiliye Images me Alt Tag use karana chahiye.

3. Choose Correct Image Format

Images bahot sare format me avaiable hoti hai. Jiname .PNG, .JPEG, .JPG aur bhi bahot sare hai. Ab salaw ye hai website blog ke liye inme
se konsa format better hoga ? dosto Agar apako image direct use karani hai to JPEG format use karana sabse accha hai. Basically 90% bloggers isi format me image use karate hai. 
Images me color correction, background change, Image cutting-pesting, image mixing karana hai to .Png format me images ko use karana chahiye. Is format me image ka background change karane me jyada pareshani naho hoti hai. Image me changes karane ke liye agar aap Adobe Photoshop Use karate hai to .png format use karana apake liye bahot easy rahega.

4. Compress Image Size

Images ki size par website, blog ki loading speed depend hoti hai. 
Website ka speed up hona user and search engines dono ke liye bahot jaruri hai. Isiliye images ko direct upload nahi karana chahiye. Subject releated images choose karane ke bad use compress kar upload karana jyada helpful rahega. Generaly 300 kg ki images ko 100 kb tr compress kar sakate hai. 
Image ko compress karane ke liye bahot sare online tools avaliable hai. Agar aapko photoshop ki basic information hai to aap adobe photoshop ka use karake images ko compress kar sakate hai or jo chahe wo changes images me kar sakate hai. Agar apako photoshop nahi ata hai to koi bat nahi aap photoscape ko easily use kar sakate hai. Article me use honewali images user friendly honi chahiye isliye hamesha images ko compress karana chahiye.

5. Add Image Caption

Image me caption add karna image optimization ka sabse effective way hai. Caption wo text hota hai jo images ke sath show hota hai. kai aisi images hai jo user ko samazane me kahi mushkil hoti hai. Isiliye images ke niche image ke bareme caption denese user ko image ke bareme janakari milati hai.
Visitors ki najar sabase pahale post ke image par jati hai aur audience image dekhane ke bad caption jarur dekhata hai. Sabhi images ko caption dena jyada fayademand rahega. Professional bloggers kehate hai ki sabhi images ko caption dene ki jarurat nahi hoti. Lekin mera manana hai ki caption dene me koi nukasan nahi hai. Caption denese fayadahi hota hai Isiliye hamesha image ko caption dena chahiye.

6. Beware of Copyright Images

Post / Article / Content me jo images use karte ho wo copyright nahi honi chahiye. Agar aap copyright images  use karenge to apako DMCA ki problem ho sakati hai. Bahot sari free websites avaliable hai jo free me images provide karati hai in sites ka use karana chahiye. Copyright images ko use karane se apako panalty mil sakti hai.

Dosto Aaj humane sikha Image Optimization Kaise Kare. Is article se releated koi question ho to comment kare. In sub tips ko follow karake aap bhi apani website blog me image optimization kar sakate hai. Ye article apake liye helpful ho to Hindi Techno Guide ko subscribe kare aur post ko social media, website, blog, whatsap par share kare.

Post a Comment

 
Top