GuidePedia

7
Domain Authority Kya Hai (What is Domain Authority in Hindi),  Blog ki domain authority kaise check kare, Blog ki domain authority kaise badhaye ya improve kare ?, What is page authority in hindi ke bareme bat karenge. Agar aap blogger hai to Domain Authority kya hai Aur kaise Check kare ke bareme janana apake liye jaruri hai. Newbies nahi jante hai ki Domain Authority kya hota hai aur isse kya fayda hai? Web developers janate hai Domain Authority (DA) Kya Hai Aur SEO Ke Liye DA Improve Kaise Kare. Dosto aaj hum Domain authority kya hota hai aur Domain Authority Ko Check Kaise Karte Hai, What is DA hindi me, DA kaise check kare ? Apani website ki domain authority kaise badhaye aur Blog Ka DA Kaise Check kare in sab points ke bareme detail me janenge.
Domain Authority Kya hai - DA Kaise Check Kare ?
Domain Authority Kya hai - DA Kaise Check Kare Image
Blogging me success hone ke liye apako apne competitor se age rehana hoga. Jab aap apane competitor se age rahenge to apako adsen se accha profit hoga. But ye sab karne ke liye apako sabase pahle domain authority kya hai ? aur Domain authority ko improve kaise karte hai ye janana hoga. Domain authority ko hi DA kehate hai. Blogging me success hone ke liye aur search engine me high rank pane ke liye apako apni site ka da improve karna hoga.

Contents
1. Domain Authority Kya Hai - What Is Domain Authority ?
2. Blog Ki Ddomain Authority Ko Kaise Check Kare ?
3. Domain Authority Ko Check Kaise Karate Hai ?
4. Domain Authority Kaise Badhaye
5. How to Increase Domain Authority in Hindi
5.1. Quality Content Write Kare
5.2. High Quality Backlinks
5.3. Page Speed Ko Improve Kare
5.4. Social Marketing
5.5 Comments

Domain Authority Kya Hai - What Is Domain Authority ? 


Domain authority ko in short me DA kehate hai. DA Seo yane search engine optimization ka part hai. Pichali post me humane dekha tha SEO Kya Hai ? Seo Kaise Kare ?. Search engine optimization bahot bada factor hai. SEO me On Page SEO, OFF Page SEO, Focus Keyword, High Quality Contnet, Backlinks, PR Do Follow Backlinks, Bounce Rate, Domain authority aur bhi bahot cheeze ati hai. Seo ka hi ek part hai domain authority.

Website ka DA alag alag hota hai, New blog ka DA 10-20 ke andar hota hai. Domain Authority par apaki site ka search rank depend karta hai. Apaki site ka Search rank jitana high hoga utana hi jyada organic traffic milega. Jisase website ka reputation badhega. Search engine ke in sab factor par hume focus karna hoga. link building ke sath DA par bhi hume hardwork karna hoga. Domain Authority Ko hum step by step sikhenge. Ab aap soch rahe hoge ki Blogger Blog Ka Da Kaise Check Kare. Dosto apake sare sawalo ke jawab mil jayenge is article ko carefuly read kare.


Blog Ki Ddomain Authority Ko Kaise Check Kare ?


Dosto " MOZ " companey search engine optimization se releated service provide karti hai. "MOZ" ne Domain Authority start kiya tha. DA yane domain authoriy search engine ka ek matric hai. Is SEO matric me website blog ke seo se releated factor ke bases par 0-100 scor ke bich rating diya jata hai. MOZ kis basis par matric show karta hai isake bareme moz ne details share nahi kiye hai. Moz ne bas itani information di hai ki hamari site ke 40 factors ko check karke scor rating di jati hai. Moz ki matrics me apaki site ka age, article quality, keywords, image, backlinks, videos in sab ko check karat hai. 

Domain Authority Ko Check Kaise Karate Hai ?


Internet par Da check karne ke liye bahot sare free tools avalialbe hai jisnaka use karke aap domain authority check kar sakte hai. Professional bloggers aur web developers domain authority check karne ke liye Moz Open Site Explorer ka hi use karte hai. Jaise ki maine apako bataya ki "MOZ" ne DA ko launch kiya hai isiliye Moz ki taraf se provide hone wale tools se apako correct result milega.
Moz ke researchtools ko open karne ke bad apako apne website / blog ka url type karna hai aur enter karte hi apko apani site ka domain authority result show hoga jisame aap apni website blog ka domain authority check kar sakte hai.

Domain Authority Kaise Badhaye


DA kya hai ye to hum jan gaye hai ab sawal ye hai Website blog ka DA Kaise Badhaye ? To dosto Blog ka ya fir website ka da ek din me nahi badhata hai. DA badhane ke liye apako apni site par quality content publish karne honge. High Quality Keywords, Seo Friendly Images, Blogger BLog ki advance seo setting, Meta Descriptions, Backlinks in sab par focus karna hoga aur in sab chizo me imporvmnet karna hoga. Jaise hi aap in sab cheezo par foucs karke implement karenge to aapka DA Improve hone lagega.

How to Increase Domain Authority in Hindi


1. Quality Content Write Kare


Dosto blogging ki duniya me Content ko king kaha jata hai. Is bat se aap samz gaye hoge ki Contet ki blog me kya value hai. Blog post kaise honi chahiye isake bareme bahot sare articles likh chuka hu isliye is aticle me Content Writing ke bareme detail me bat nahi karenge. Blog Post hamesha seo friendly honi chahiye jisame heading tags, images aur keyword ka use hona chahiye.

2. High Quality Backlinks


Website blog ke article me quality links ko build karna chahiye. Website blog me jitana jyada link building hoga utana hi jyada inbound links (incoming hyperlinks) milate hai. Jisase hamari PR & DA badhane me helop hoti hai. Link building karane ke liye bloggers kisi bhi sites se backlinks banate hai jo galat hai. Dosto ek bat ka hamesha dhyan rakhe low quality ki sites, ya fir adult sites se milane wale backlinks se hamesha nuksan hi hota hai aur google panalize karta hai. Isiliye hamesha Hiqu Quality site se hi backlinks banaa chahiye.

3. Page Speed Ko Improve Kare


Dosto website ki loading speed seo ka hi ek part hai. Jisake bareme Images se releated post me dekha tha. Doamin aurthority ranking ke 40 factor me Website Blog ki speed bhi check karte hai. Google Search engine fast loading hone wale site ko first prority deta hai Isiliye website ki loading speed par hamesha dhyan rakhana chahiye.

4. Social Marketing


Website ki reputation badhane ke liye social marketing par focus karna chahiye. Aaj har koi internet use karta hai social media use karta hai isiliye social marketing ka use karke hum apani website ki reputation aur value badha sakte hai. social marketing se apako refferal traffic milega jisase search engin me hamari site ki value badhati hai aur search engine result page par website ko accha rank mil sakta hai.

5. Comments


Dosto apane Blog ke nich se releated dusari website blog par comment karna chahiye. Dusare blog par comment karne se do foolo link milata hai jisase reader jab comments padhate hai to apani site par visit karne ke chancec badh jate hai. Comment karne se refferal traffic badhata hai aur hamari website blog ki marketing bhi hoti hai jisase DA automatic badhane lagata hai.
Comment kar ne ke liye sirf apaki site ke nich se similor sites ko hi chune. Man lijiye ki apaki site ka nich blogging hai aur aap ki si medicine ki site par comment kar rahe ho to jab koi visitor medicine se releated query search karega aur apaki site par commnet through ayega aur use medicin ki jankari nahi milegi to visitor turant apaki site ko close kar dega. Aisa karne se site ka bounce rate badh jayega. Isiliye apani site ke nich se releated dusiarti site par comment karna jyada fayademand hota hai.
Dosto aaj ke is article me hume ne Domain Authority Kya hai ? Aur Blog Ki Domain Authority Kaise Check karte hai ke bareme sikha. DA ka yarticle apako kaise laga comment karke bataye. Is article se releated koi question ho to comment karur kare. HTG me publish hone wale article ko apane email par pane ke liye hume subsribe kare. Is article apako apani website, blog, social media par share kare.

Post a Comment

  1. Domain Authority ko kam karne ke liye ise padhe -
    http://www.phaguniya.com/domain-authority-kya-hai/

    ReplyDelete
  2. sir ,mai ek new blogger hu aur maine koi backlinks nahi banaya hai kya is trick se mera https://carestudyonline.blogspot.com/2019/01/common-security-threats-and-safety-measures.html Rank improve hoga?

    ReplyDelete
  3. Nice info par is ko increase kaise karein .

    ReplyDelete
  4. Thanks for such a nice piece of writing.We have a website on which student can take a Homework Help which has many expert tutors. So if anyone want help in their studied do refer this website.

    ReplyDelete

 
Top