GuidePedia

3
Internal Linking Kya Hai, Internal Linking Kaise Kare, Internal Linking Kyo Kare ke bareme aaj hum bat karenge. SEO se releated article me apane internal linking ke bareme suna hoga. Aaj ke is article me hum Internal linking se releated Internal Linking Kya Hai, Internal Linking Kaise Kare, Internal Linking Ke fayade, Blog Posts Ko Links Se Kaise Connect Kare, internal linking kya hota hai, ise kaise kare, Internal Link Building Kaise Kare? Blogger Ki Post Me Dusri Post Ke Link (URL) Kaise Add Kare, Blog post me internal linking SEO ke liye kyon jaruri hai, Interlinking Se SEO Kaise Improve kare, Blog Posts Ko Links Se Kaise Connect Kare in sare points ke bareme step by step janenge.
Internal Linking Kya Hai,Internal Linking Kaise Kare ?
Internal Linking Kya Hai - Internal Linking Kaise Kare Image

Internal Linking Kya Hai

Blog ki ek post me dusari post ke link ko add kiya jata hai ise kehate hai internal linking. Dosto HTG ke har article me dusare post ka link dete hai isi links ko internal link kaha jata hai.

Internal Linking Kaise Karte Hai ?

Blog ke ek post me dusare post ka link add karna bahot easy hai. Internal Linking kaise karte hai isaka example de raha hu.

Example : Blogging me success hone ke liye SEO Friendly Blogpost hona jaruri hai. Blog post me Focus Keyword ko add karne se search engine me top rank milta hai. Blog post ki image seo friendly hone se search rank me improvement hota hai. Blog Post ke liye backlinks kya hai ye janana jaruri hai. HTG me har post ke liye high quality backlinks use karte hai. Agar aap chahe to YouTube Se Do Follow Backlinks Bana Sakte Hai.

Upar bataye example me aap dekha sakate hai ki red color ke ho shabd hai jiname humane Hindi Techno Guide ki dusari post ka link add kiya hai.

Internal Linking Ke Fayade

Increase Old Post Rank

Blog ki har post ko top search rank nahi mil pata. aise me us post ko search engine se organic traffic nahi milata hai. Aise post ka link agar hum blog ki dusari post me add karenge to Internal Linkins ki gai old post ka search rank improve hota hai.

Reduce Bounce Rate

SEO me bounce rate bahot important hai Visitor search engine through apaki site par ya fir blog par ate hai aur turant site band kar dete hai to apaki site ka bounce rate increase hota hai. Bounce rate jyada hone se page rank par effect padta hai. Isiliye Bounce Rate Low hona search engine ke according important hai. Internal Linking karne se visitor jab kisi article par visit karte hai aur unhe article pasand na ane par ha fir article helpful lagne par dusare article check karna pasand karte hai Jisase bounce rate decrease hone me help hoti hai.

Blog post me internal linking SEO ke liye kyon jaruri hai

Increase Internal Page Rank

Google through milane wala Page Rank apake blog ya fir website par kitane Quality Backlinks avaliable hai is par depend karta hai.Internal Linking ki help se Link Juice kar sakate hai Jisase internal linking se backlink banega aur page rak increase hone me help hogi. Apaki site ka Page Rank aur Domain Authoriy search engine me raking ke liye help karti hai.

Better Crawling & Indexing Of Your Site

Internal Linkings karne se visitor kisi subject kar search engine me search karte hai to search releated result me post jo links add hogi wo showo hogi aur hamesha Index hoti rahegi.

Blogger Ki Post Me Dusri Post Ke Link (URL) Kaise Add Kare

Increase Pageviews

Internal Linking se blog ke page views increase hote rahgenge. Visitor ek post ko read karte huye dusare post par internal links ki wajaha se divert hote hai jisase page views badhane me help hoti hai. Bounce rate kafi kam hota hai aur visitors ko kisi dusare subject par article read karna hai to asani se search kar sakte hai.
Dosto ummid karta hu Internal Linking ki ye post apke liye helpful ho. Is post se releated koi question ho to comment kare. HTG ki post ko apne email par receive karne ke liye hume subscribe kare.

Hindi Techno Guide Ki Helpful Post Bhi Dekhe

  1. Off-Page Seo Kya Hai ? Off Page Seo Optimization Kaise Kare ?
  2. Blog Post Ko Jaldi Search Me Kaise Laye - Easy Tricks
  3. Blog Par Without SEO Ke Traffic Kaise Badhaye 5 Easy Tricks
  4. Website Ki Traffic Kaise Badhaye | Blog Ki Traffic Kaise Badhaye Hindi Jankari
  5. Website Blog Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye
  6. Blogger Custom Robots Header Tags Settings Kaise Kare - Full Guide
  7. Seo Friendly Keyword Kaise Use Kare | New Update
  8. Jio Phone Booking Confirmation SMS Not Received

Post a Comment

  1. sir mere ek samsya hai ki me ne bhi blog likhna prambh kya hai mujhe kafi proble ho rhi hai blog likhte samy mere post bhikhari huaa aa rhi hai home page par mujhe iska samadhan bataye sir thank sir ji apki post kafi help pull rahi mere liye

    ReplyDelete
  2. Link building is one of the toughest jobs in SEO because you not only need to use the right techniques but in the right time to get the maximum benefits. I recently found a website LinkNotifier com which helps in checking the broken links if any. If you want to grow your website fast then LinkNotifier will be best for you. It will help you in checking your broken links so that you can build those links again and start getting prominence from Google.

    ReplyDelete

 
Top