GuidePedia

0
New bloggers janana chahte hai SEO friendly post kaise likhe ?. Blogging me success hone ke liye hume bahot kuch karne ki jarurt nahi hai. Agar hum seo friendly post likhenge to hume organic traffic, top search rank aur publicity apne aap milegi. Blogger blog ko search engine ke liye optimization karne ke liye hume thoda smart work karna hoga. Blog post me hum images, videos, Internal Linking ko use karte hai inhe hume search-engine ke according use karna hoga is process ko Sarch Engine Optimization kehate hai. Blogging me apko carrier karna hai to blog ko seo friendly kaise banate hai ye sikhana hoga. Blog par traffic badhane ke liye aur organic visitors banane ke bareme humne pichali post Blog par traffic kaise badhaye me dekha tha. Dosto ek bat hamesha yad rakhe bloggine me Content ko King kaha jata hai. Blog post article ko seo ko according tayar karenge to hum blogging me easily success ho sakte hai. To chaliye dosto dekhate hai seo friendly post kaise likhe.
Seo Friendly Post Kaise Likhe - Full Guide
Seo Friendly Post Kaise Likhe - Full Guide
Friends Hum thoda seo ke bareme janenge. SEO yane search engine optimization ke kam karne ka tarika kya hai ? jab hum kisi query ke bareme search karte hai to Search result show karne ke liye search robots kis bat par focus karta hai.  Ye sab cheezon ke bareme hume study karni hai. search robots article ko filter karne ke liye jo rules use karte hai usi rules ko apply karke hum hamari post likhenge. Is process ko hi Search engine Optimization karna kehte hai. 

SEO Friendly Post Kaise Likhe

1. Blog URL

Blog post url me extra keyword use nahi karne chahiye. Post ke url me focus keyword use karna chahiye. Post ka url article ko search result page par rank improve karne me help karta hai isiliye post url par banane ke examples de raha hu.
Bad url : HindiTechnoGuide.com/p789=?
Is Url me kuch bhi pata nahi chalega ki ye url kis post se releated hai.
Bad Url : HindiTechnoGuide.com/how-to-write-unique-blog-post
Is type ke url me extra word hai.
Good Url : HindiTechnoGuide.com/Unique-blog-post-Kaise-Likhe
Is url me only Focus keywods ko use kiya gaya hai.

2. SEO Friendly Blog Title

Post ki shuruat Title se hoti hai. Search result page par hamari site ke post ka title hi dikhai deta hai. Isiliye Blog post ka title attractive hona chahiye. Visitar search result page par attrative title wali site par visit karte hai. Boaring title ya fir bahot bada title hone par visitor visit karna pasand nahi karte. Profesisonal bloggers hamesha short but meaning ful title banate hai. Blog post title me Focus keyword ko use karna chahiye. Hindi Techno Guide ke aaj ke is article me hamne SEO Friendly Post Kaise Likhe ? ye title banaya hai isame SEO Friendly Post hamara focus keyowrd hai. Friends Title 32 to 66 shabdon me  hona chahiye.

3. Keyword Research

Keyword se releated post me humne dekha tha ki hum google me kisi query ke bareme search karne ke liye jo word use karte hai use keyword kehta hai. Keywords ke long tail, short tail, focus, Targeted Keywords etc typs hai jinke ke bareme humane Keyword Kya Hai ? Keyword Research Kaise Kare ? is post me dekha tha. Basically blog post likhane ke liye sabase pahle blog topic chuna hoga aur blogpost topic se releated keywords ke bareme research karna hoga. Post me High Quality Keyword, longtail keyword aur focus keywords ko use karne se accha traffic milata hai aur ek High Quality Wala Article banata hai. Article ko kisi specific county ke liye target karna hai to hume article se releated targeted keywords ko use karna chahiye. Seo friendly post likhane ke liye keywords ke bareme detail me janana hoga.

Blog Post Me Targeted Keyword Kaha - Kaise Use Kare ?

Keyword search karne ke bad keyword ko post me kaha kaha use karna hai ye maloom hona jaruri hai. SEO Friendly Post banane ke liye post me sahi jagaha par keyword use karna hoga. Blog post me long tail keyword ko jyada se jyada use karna chahiye. Post me keyword ko use karte time keyword density par dhyan dena hoga. Keyword density 2.5 to 3.5  ke bich honi chahiye.

Perma Link
➤ Title
➤ First paragraph
➤ Headings
➤ Last paragraph
➤ Description

4. Use Keyword in Heading 2

Article me heading tags ka use to hum sabhi karte hai but Heading 2 (H2) me main keyword ko use kare. Search crawler Permalink, Title, Heading tags par jyada focus karta hai. Heading me kam se kam words ka use kare. Focus keywords, Main keyword ko heading me use karna chahiye. Possible ho to keyword se heading start karna chahiye.

Seo Friendly Post Kaise Likhe - Top Rank Secret

5. Image Optimize

Images ko google image search ya fir kisi bhi search engine ke image search result page me top par lane ke liye image ko optimiz karna bahot jaruri hai. Images ka important to aap jante honge but agar aap nahi janate hai to apko batana chahunga 1000 words ki post described karne ke liye ek image kafi hai. is bat se aap image ka blog post me kitana important hai ye samza sakte hai. Blog post me subject se reated images ko use karne se user ko content ko samazane me asani hoti hai. Isiliye blog post me images ko use karna chahiye. Images ko seo friendly banane ke liye image optmization karna hoga. Image Optimization ke liye search engine ki kuch guidlines hai jine aap follow kar sakte hai. Search engine ki ye guidlines apko short me bataunga. 

6. Image Size

Blog post ke subject se releated image search karana hoga ya fir agar aap photoshop, photoescape jaise softaware ko use kar sakte hai to aap in softwares me images ko creat kar sakte hai. Image research karne se pahle Copyright Images ko use nahi karna hai is bat ka dhyan rakhe.  Blog content ke liye jo image select karenge us Image ki size 200 X 200  Pixel honi chahiye. Agar image ki size  jyada ya kam ho to aap Ms paint jaise free software use karke image size contorl kar sakte hai. Image size par blogger blog ya website ki loading speed depend karti hai.

7. Add Alt tag

Image ko seo ke according optimize karne ke liye image me alt tag use karana chahiye. New bloggers question karate hai ki images ka name use karane par alt tag kyu use karna chahiye ? Visitor ki Internet ki speed kam hone par, high quality or extra larg images use karane se image loading  naho hoti. Aise samay visitor image ki jagaha par alt tag show hota hai. Jisase users ko image kis subject ke barme hai isaki jankari milati hai.

Seo Friendly Post Kaise Likhe in Hindi

8. Avoid Copy Paste 

Famous blog se content copy karke apne article me use nahi karna chahiye. Agar aap aisa karenge to nahi apki post ko google ya fir kisi bhi search engine me top rank nahi milega aur nahi organic traffic milega. Google Panda in sab cheezo par badi barike se nazar rakhta hai. Isiliye kisi bhi site se content copy nahi karna chahiye. Jab muze blogging ka knowledge nahi tha aur maine aise hi sikhane ke liye blog banaya tha tab mai bhi dusare professional bloggers ka content copy karke use kiya karta tha. Shuruati time me accha traffic mila lekin bad me search rank down hone laga aur jo traffic milata tha wo bhi achanak se kam hote hote band hogaya. maine bahot koshish ki bat firase wahi rank aur same traffic nahi mil paya aur akhir me wo blog band kar diya. Isiliye kehta hu dosto copy right na kare. Khud ka talent use kare. Aap jis subject ke bareme article likhana chahte hai use ke bareme acchi taraha se research kar le aur phir article likhe.

Conclusion : -

Dosto aaj humne dekha SEO friendly post kaise likhe. Is article me jo guidlines batai hai use follow karke aap bhi apni post ko search engine me top rank de sakte hai. Is article se releated koi question ho to comment kare. HTG ke article ko apne email par receive karne ke liye hume subscribe kare.

Post a Comment

 
Top